Uppskill

#55 Great Manager Lead From Behind - Let's understand the mindset change once you become a manager

Informações:

Synopsis

Jab bhi hum kisi job me hote hai toh, kaam karte karte hamen us cheez ki experince hoti hai aur iske saath hi hamara role ek trainee se change ho ke alag alag badlav bhi dekhta hai. In sab role me ek bahut hi important role aata hai wo hai "manager" ka, ye isliye bhi important hai kyunki psychologically and strategically apke jeevan me bahut si cheezen badalti hai is time. par iske saath responsibility bhi, kuch cheezen sikhni hoti hai aur kuch un learn karni hoti hai, logon ko dekhne ka nazariya thoda sa change karna hota hai. India me dekhe toh managers ki reputation kuch achhi nahi hai as wo apna mindset ko lift nahi karte aur baad me cheezen bahut zyada gadbad ho jati hai. inhi sab baaton ko nazar me rakhte hue hamne ye #fridaypodcast banaya hai jisme hum baat karenge ki kaise is role me transform karte hai. kuch kahaniyaan meri khud ki zindagi se bhi hai isme. jo seekha wahi bata raha hun, apke bahut kaam aayega, kyunke mere kaam toh ye aaya hi hai